![]() |
| This pic of mine has been taken when I was about 2 year old. |
Yaad aata hai wo bachpan suhana, jaha tha maa ka pyar, aur unka god me sulana. Wo unka pyar se apne paas bulana, aur unhe tang karne ke liye hamara chhipna chhipana. Subah savere maa ka jagaana, thodi der aur keh ke hamara fir se so jana. Naha dhoke hamara tayyar ho jana, taki kha sake maa ke hathon se unka swadisht khana. Unse vida lekar school ko jana, raste bhar sochte huye ki aaj tiffin jaldi hai khana. Din bhar school me padhna, khelna, dhoom machana, thak harkar aakhir fir se maa ki god me aa jana. Bigadta dekh papa ka daat lagana,"Padhle beta! nahi to padega tujhe ghar hi baithana". Bura mankar hamara kamre se bhag jana, aur mumy ka papa ko aankhein dikhana. Fir shuru hota tha hamara ruthna, mumy ka manana, hum isliye maan jate kyuki papa ka hota tha apne haatho se khilana. Kismat wale hain hum ki hume mila hai maa aur baap dono ka pyar, dular aur sarhaana, nahi to kitne bachho ko mushkil hi milta pata hai 2 waqt ka khana. Ye sochte sochte hamare neend ke aagosh me aa jana, subah uthe to fir se apne aapko apni maa ki god me pana. Yaad aata hai wo bachpan suhana, jaha na to thi bhrashtachar ki chinta, na ghotalo ka fasana, rishwat me pyar, zamin jaedat me samman, rishte nibhana, yahi tha hame dete aana, kaha gaye wo din, he!! ishwar lauta do hame wo zamana... wo zamana...!!!

No comments:
Post a Comment